Ham sabhi aaj ke samay me phone ,computer ya laptop use karte hai. Jisme hame kai sare functions , application provide kiye gaye hote jinhe work karne ke liye ek system ki jarurat hoti hai jise kernel kahte hai . Kernel ke baare ho sakta hai aapko jyada knowledge na ho . To isliye aaiye aaj ham kernel ke bare me detail me jane ki kernel kya hota hai. Yah kya kaam karta hai aur hame iski jarurat kyo padti hai?

What Is Kernel ?

Basically hamare phone , computer , laptop ya phir tablet sabhi ke do main parts hote hai ek Software dusra Hardware . Hamare phone ke sare application.  Software ke antargat aate aur mic ,speaker ,camera etc. Sabhi components hardware hote hai. Jab ham apni device on karte hai tab hame desktop me applications dekhne ke liye milte hai jinhe ham jab use karte hai to ek aise set  up ya phir kaha jaye to System ki jarut padti jo hamare software aur hardware se access kar sake . Jise ham kernel kahte hai kernel basically hardware aur software ke beech ek bridge ki tarah kaam karta hai . Aur hardware aur software ko connect karta hai. Yadi ham apne phone ki setting me jakar uper ki taraf swipe kar about device option ko select karte hai to naya page open hota hai  jisme ek option hota hai kernel version jisme kernel ke version, kernel number aur kernel kis date ko update kiya gaya tha sari detail available hoti hai .

How Kernel Work ?

 Jab aap kisi application icon par click karte hai tab application ko work karne ke liye hardware se access hone ki jarurat hoti hai aise me kernel us Software base application ko phone ke hardware component se access karta hai aur application work karta hai .For Example jab phone me camera icon jo software par base hota hai par click karte hai tab us Software base application ko hardware component camera se access ki jarurat hoti hai aur kuchh permissions jaruri hote hai. Jaise ki jab aap icon par click karte hai tab kernel use hardware component camera se access kar deta hai aur application open ho jata hai aur niche available camera icon par image pic karne ke liye click karte hai tab image ko save hone ke liye storage se permissions ki jarurat hoti hai kernel Operating System se permission lekar camera ko provide karta hai aur image storage me save ho jati hai .Is prakar ham kah sakte hai kernel hamare phone ke sare component, Software , Operating System ko jod kar rakhta hai.

Different Types Of Kernel ?

Hamare paas bahut se third party wa system kernel available hote hai wa Different device aur Operating System me different types ke kernel use kiye jate hai jo is prakar hai :-

 Android        :-           Linux Kernel

 Windows       :-          Anti   Kernel

 I phone or Mac     :-  Darvin Kernel


Android phones me use hone wala Linux kernel open kernel hota hai ise ham change kar sakte hai aur easily apne hisab se customise bhi kar sakte baki dusre Operating Systems ke kernel close kernel hote hai jinhe ham change nahi kar sakte .

Kernel ko kaise change karte hai ?

Sabse pahle  prashna uthta hai ki kya ham kernel ko change kar sakte hai. To answer hai yes kernel ko change kiya ja sakte hai. Kernel ko change karne ke liye sabse pahle phone ko root access hona bahut jaruri hai.Aur bootloader ka unlocked hona bhi bahut jaruri hai. Yadi aapka phone rooted hai  aur bootloader unlock hai to aap easily kernel ko install kar change kar sakte but kernel ko change karna bahut risky hota isliye kernel ko change karte waqt dhyan rahe ki kernel original aur kisi achhe system Se provided ho aur koi third party ka na ho.

Kernel Change Karne Ki Jarurat Kyo Hoti hai ?

Phone ke Kernel ko change karne ki waise to aapko koi jarurat nahi aap easily apne System dwara provided kernel use kare aapke liye best rahega . Lekin aapko phir kernel change karna ho to aiye pata kare kernel change karne ki jarurat kyo hoti hai.

Yadi aapke phone ka battery back come ho ya phir processor properly work na kar raha ho to kernel ko change kar in problem ko solve kar sakte hai .For example agar aapko battery back up increase karna hai to aap kernel change kar CPU processing down kar battery backup increase kar skte hai.