Hamne apne pichhle post me aap sabhi ko mobile processor ke bare detail me jankari diye the jisme hamne Core ke bare me jikra kiye the jisse ummeed hai aapko processor ke bare me samajh me aa gaya ho lekin aapke dimag ek sawal utha hoga ki ye core kya hota hai to Friends aaj ham Core ke bare me detail me janenge yadi aapne hamara pichhala post padhe hai to aapko aaj Core ke bare me acche se samajh me aa jayega aur yadi aapne wah post nahi padhe aur padhna chahte hai to niche link di hui hai jis link se aap Processor ki detail padh sakte hai.

Jaisa ki aap sabhi smartphone me use hone wale processors wa unke Core bare me sune hi honge Aur sayad aap kuch had tak jante bhi honge kuchh nahi bhi jante to koi baat nahi aaj ke post me ham Core Processor ke bare me hi janenge.

What Is Core In Processor?

Ek tarah se samjha jaye to Core hi actual main Processor hota hai aur yahi apke Mobile ke sare Instruction ko read karta hai aur Instruction ko Execute karta hai.

How To Core Work?

Core Basically 3 Phase me kaam karta hai.

• Fetch Instruction
• Decode Instruction
• Execute Instruction

Sabse pahle Core apke Diye gaye Command ya Instruction ke read karta hai ise Fetch Phase kahte hai. Dusre Phase me Core apke diye gaye Instruction ko “DECODE” karta hai. And last phone me apke Diye gaye Command ko Execute karta hai.Aur Core ki working speed ko samajhne ke liye ham ek example ko use kar sakte hai .Core ko hamare hath ke se compare kiya ja sakta hai jis tarah yadi hamare pas ek hath hai to ham ek bar me ek hi kam kar sakte hai aur agar hamare chaar hath ho to ham ek sath char alag kam easily aur ek hath ke comparison me bahut jaldi kar lenge aur yadi hamare paas bahut sare hath hai to multip tasks ek sath aur easily kar lenge waise ydi hamare processor ka Architecture ka aur technology badhiya use ki gayi hai to hamare processor ke cores ke performance bhi cores par depend karti hai.Iska matlab apke Mobile Processor me Jitne jayeda Cores honge apke Smartphone ki performance utna jyada accha hoga.

Different Types Of Processor

Hamare smartphone ke processor me Following types ke Core use kiye jate hai:-

Dual-Core processor

Agar apke smartphone me aapko Dual Core Processor use kiya gaya hai to iska matlab yah hai ki apki do core provide kiye gaye hai yani aap ek sath reading wa writing operation kar sakte hai. Basically yah cores aaj saste smartphones me use kiye jate hai.

Quad-Core Processor

Agar apke Smartphone me Snapdragon ya MediaTek ka Quad Core Processor use kiya gaya hai. Iska matlab apke Processor me 4 Cores use kiye gaye hai.Jo ek Sath 4 Read Write Operation Perform kar sakte hai. Basically yah cores aaj saste smartphones me use kiye jate hai.

Hexa-Core Processor

Yadi aapke smartphone me Hexa core Processor use kiya gaya to iska matlab apke processor me 6 cores available hai. Hexa Core processor ki Data Execution speed Quad Core se lagbhag 50% jyada hoti hai. Hexa Core Processor ko abhi bahut kam Mobile Phone Companies use karti hai.Kyoki abhi tak kuchh hi ase Smartphone manufacture kiye gaye hai jo Hexa Core Processor available hai.

Octa-Core Processor

Jaisa ki Quad-core me 4 Core available hote hai aur Hexa Core me 6 Cores available hote hai. isi tarah Octa-Core Processor me 8 Cores available hote hai.

Octa-Core Processor ki Performance Quad-Core processor ke Speed se just Doguna Hotinhai. Ab Snapdragon ke jo Modern Octa-Core processor use kiye ja rahe hai, unme 2 Quad Core processor lage hote hai.

Octa-Core Processor abhi tak Mobile phones me use kiya jane wala sabse High Performance wala Processor hai. Octa-Core Processor abhi sayad 2 ya 3 Mobile Companies hi apne Smartphone ke sath provide kar rahi hai.

History of Cores

iPhone 4 tak hum Single Core Processor hi use kiye jate the Yani ek hi Processor core unit hoti thi. Inki speed mein koi shak nahi tha, Lekin jis tarah phone par jyada se jyada multi-tasking features aa rahe hain, Ab 8 Core wale processor tak ban rahe hain. Aur feature ke improvements ke badhne ke sath mobile ki speed ki bhi requirement badhne lagi jisse dual core processor ko develop kiya gaya.

Dual Core ke baad hame Quad Core (4), Hexa-Core (6) aur Octa-Core (8) Processor develop kiye gaye . Ab toh Quad-Core bhi normally use hone wala Processor hota ja raha hain.

Read Also: Complete Detail About Mobile Processor .

What Is RAM ? Different Types Of RAM , Difference Between SRAM And DRAM.

Performance Improvements Using More Cores

Jyada Core use kiye jane se Smartphone ki performance kaise sudharti hain, Ise samjhne ke liye ek Dual-Core processor ka example lete hain.

Example ke taur par yadi aap travel kar rahe hain aur Smartphone ke Navigation aur Music, dono features ka istemal kar rahe hain. Aise mein Operating system Navigation ka kaam ek CPU ko aur Music streaming ka kaam dusre CPU ko de sakta hain. Yani ki ek-ek task dono ke beech bant (Divide) ho jata hain. Isse dono Core apni puri speed mein jaaye bina task pura kar sakte hain. Puri Speed mein naa jane se frequency bhi kam rahti hain aur phone ki battery kam kharch hoti hain, performance toh sudharti hi hain.

Advantages Of More Cores

1). More Gaming Speed

Jab aap koi speed ya action game khelte hain jo multi-core processor ise smooth banata hain. Game kanhi atakata nahi hain aur 3D effect ka pura maza milta hain. Gaming console ki takkar ka experience ap mobile mein multi-core processor se aaya hain.

2) Multi-tasking

Ek saath kai features par kaam karne ke liye Phone ki speed acchi honi chahiye. Mutli-Tab Internet surfing, Multi-Window, Popup Video jaise feature bina multi-core processor ke soche bhi nahi ja sakte hain. Internet ki speed badhne ke saath phone ki speed ko inhone hi tez kiya hain.

3) Full HD Video

Multi-Core Processor se aapko Phone ki screen par 1080 Pixels tak ka video record ya play milta hain. Ab toh Ultra HD playback ko handle karne ki capacity wale Mobile processor aa chuke hain. Big screen par log behtar video playback chahte hain. Isi tarah mobile phone mein jyada damdaar hote Camera ko bhi processor se accha support milta hain.

4) Battery Life

Screen badi ho rahi hain, Chamak badh rahi hain, Lekin battery ki apni kuch limitation hain. Kam se kam 1 din pura chalne wali battery ab acchi mani jati hain. Jyada Core hone se Mobile ki battery par bhi accha effect hota hain. Sabhi Core mein kaam divide ho jate hain aur jab jis processor ki jarurat Hoti us core ko use kiya jata hai battery save hoti hai.