DNS Ki Full Form Domain Name System Hai. DNS Internet ya Private Network se connected Resources ke liye Ek Naming System hai. DNS ek particular Domain Name ke sath vibhinn jankari ekatrit karta hai . Domain Name aur wah computer ya Device jisse Domain Name search kiya gaya hai usko easily identify aur locate karne ke liye numeric IP addresses use kiye jate hai. DNS Internet services ka main part hai aur DNS 1980 ke dasak se use kiya jata hai.

DNS pratyek Domain Name ko particular server se assign kar internet resources par mapping karta hai.Network administrator other name servers ko unke allocated name space ke Sub Domain par adhikar saunp sakta hai. Yah mechanism Distributed and Fault Tolerent Service provide karti hai aur DNS Simple Large Database ko avoid karne ke liye design kiya gaya tha.

DNS database ki technical functionality ko bhi specify karti hai. Yah DNS Protocol ko bhi paribhashit karti hai.DNS Protocol Data Structures and Data Communication jo DNS dwara used hote hai ka detailed specification hota hai. Historically , anya purvvarti directory services large or global directories me scalable nahi the jo originally text file,HOST.TXT Resolver par based the.

Internet two Namespaces Principal ko maintain karta hai :-

1.) Domain Name Hierarchy

2.) Internet Protocol (IP) Adress Spaces

DNS Domain Name Hierarchy ko maintain karta hai. DNS Dono Name Space ke bich translation services provide karta hai . Internet Name servers aur Communication Protocol DNS ko lagu karte hai.Ek DNS Name Server ek hai jo Domain ke liye DNS records ko store karta hai. DNS Name Server apne Database ke against questions ke answers ke sath respond karta hai.

Records jo DNS ke Database me store hote hai following most common types ke hote hai :-

Start Of Authority (SOA)

Internet Protocol Addresses ( A And AAAA)

SMTP Mail Exchangers (MX)

Name Servers (NS)

Pointers For Reverse DNS lookups (PTR)

Domain Name Aliases (CNAME)

Automatic lookups ke liye kuch anya type ke Database Store Kiye jate hai jaise ki DNSSEC Records or Responsible Person. DNS Database traditionally Structured Zone File me store hote hai.