Aaj ke samay ham sabhi ko hamare smartphones GPS available hota hai jisko use karke aap apne phone ki location ke bare easily pata laga sakte hai . Lekin aaiye ab jante hai GPS Kya Hai ? GPS kaise kaam karta hai ?

What Is GPS?

GPS Ki Full Form Global Positioning System hai. GPS hamare phone me use hone wala ek aisa system hota jiske jariye ham apne phone ki location ka pata easily laga lete iska use basically navigation purpose ke liye kiya jata hai yadi aap kahi par travel kar rahe aur aapko rasta gyat nahi hai to aap aap apne smartphones me GPS on kar navigation mode ki help se apne location sahit complete raste ka pata laga sakte hai .Ye system Aircraft, Train aur Bus jaisi transportation service me bahot hi upyogi sabit huaa hai.GPS technology ki madad se aap distance ke sath height bhi accurate tarike se check kar sakte hai.
Relate Articles: What is satellite? Principal, Working And Types Of Satellite.
India's own navigation system IRNSS

History Of GPS?

GPS technology ki khoj America ke Defense Department ne 1970 - 1980 ke dasak me apni Army ke navigation purpose ke liye kiye the . Us time is technology ko kewal American Army hi use kar sakati thi.Jab 1983 me Russian force ne civilian Air Craft ko mar giraya kyoki wah galti se unke Air Express me enter kar gaya tha .Tab America ne Socha ki GPS ko aam taur par public ke liye launch karna chahiye . Tab 12 years ki kadi mehnat ke baad 27 April 1995 me GPS sabhi logo ke upyog ke liye launch kiya gaya. Lekin us samay GPS puri tarah accurate nahi tha isko only location ka andaja lagane ke liye use kiya jata tha. Phir 2000 me GPS ko accuracy me improvement kar launch kiya gaya . 2005 - 2010 tak America ne lagabhag 50 GPS satellites launch kar diye hai aur yah ab accurate bhi hai. Is technology ka upyog ab bahot hi bade paimane par hone laga hai, jaise ki Map banane ke liye, Location track karne ke liye, Navigation ke liye.

How GPS Work?

GPS Satellite ki help se work karta hai . GPS satellites me ek atomic clock connect hota hai . Crore saal baad bhi jiska time completely accurate rahta hai uske time me 1 second ya phir 1 milli second ka bhi anter nahi hota. Space me bheje gaye Satellites dwara signals transmit kiye jate hai jiki speed 50 bytes per minute hoti hai. Signals ke sath jab wah jis time transmit kiye gaye the wah time bhi connect hota hai. Hamare phone me receiver hota hai jo satellites se transmit kiye gaye signals ko receive karta hai. Aur koshish karta hai ki wah minimum 3 satellites se connect ho sake . Jaisa ki signals ke sath time connect hota us time ke anushar calculation kar GPS , satellites se phone ki distance ka pata laga leta hai yadi GPS 3 Satellites se connect ho jata hai to location completely accurate rahti hai aur agar GPS 4 Satellites se connect hota hai to wah samundra se phone ki uchai ka bhi pata laga leta hai.Jab aap navigation ka use karte hai tab aap jis speed se aage badhte hai usi speed se location wala arrow bhi badhta yah isliye hota kyoki GPS continuously Satellites ke signals ko refresh karta rahta hai aur aapki location ke accurately Connect rahta hai.