Friends ham sabhi jab bhi phone kharidne jate hai tab ham phone ke kuchh main Features par jarur dhyan detae hai. Jisme ek main feature hai camera jab bhi ham camera ke feature ki tulna karte hai tab ham uske pixels check karte hai ki camera kitne megapixels ka hai. Ya phir jab ham apne phone ke camera ko apne phone ke camera se compare karte hai to dekhte hai ki friend ke phone ka camera jyada Megapixel ka hai to uske phone ka camera apke phone ke camera se achha hai lekin kya aap jante Megapixels kya hote hai aur jyada Megapixels hone se camera se liye gaye image ki quality kaise improve hoti hai . So aaj ham camera ke Megapixels ke bare me hi janenge :-

What Is Megapixel?

Friends MP ka matlab hai million pixels. Jaise ki aap jante hi hai 1 million ka matlab hota hai 10 lakh yani ki agar aapke phone 5 MP ka camera hai to iska matlab apke phone ke camera me 50 lakh pixels use kiye gaye hai.

What Is Pixel ?

Pixel aapke camera me use kiya jane wala ek component hota hai joki camera me sabse piche laga hota .Camera sabse pichhe lens wagairah sabke niche image sensor laga hota hai jisme chhote chhote pixels ka arrangement hota hai.

Jab ham camera se image capture karte hai tab yah alag alag pixels hi image ka contrast , sharpness,colour etc. ko capture karte hai aur jab ham capture key press karte tab camera in sabhi pixels ko jodkar processing karta hai ek final image hamare gallery me store kar deta hai.

Read Also: What HDR ? When and where to use hdr

How To More Pixels Improves Image Quality?

Jaisa ki hamne abhi jana ki alag alag pixels image ki contrast,sharpness,colour etc. Ko capture karte hai aise me hamare camera me jitane jyada pixels use kiye gaye honge wah utne bariki image capture karenge aur image zoom karne par utni bariki se har ek chije hame image me dikhai dengi lekin iska matlab yah nahi ki camera me jitane jyada pixels use honge image Quality utni hi achhi hogi yadi apke camera me pixels ka size bada hai ,image sensor ka size bada hai aur lens achhe quality ka use kiya gaya hai to agar apke camera me kam pixels bhi ho to bhi image quality badhiya hogi.Isilye achhi image quality ke liye jyada pixels ke sath sath pixels ke size bhi bade hone chahiye.

How To Size And Resolution Of Image Depend Upon Pixels?

Pixels sirf image ki quality hi nahi balki resolution aur size bhi tay karte hai jo is prakar hai :- Megapixels

Agar aapke phone ka camera 8 Megapixel ka hai to iska matlab aapke camera me ek row me 3264 pixels hhorizontally lage hai aur 2468 pixels ek row me vertically lage hai. Aur isi tarah aapke pixels upar diye image anusar 8 Million pixels arrange kiye gaye hai.Aur aapke picture ka resolution 3264 ×2468 hoga.