India me digital payment ko badhava dene ke liye Hamare country me Prime Minister 'Narendra Modi Ji ' ne 31 December 2016, Friday  ko 'BHIM ' App launch kiya hai, Ab ye BHIM App kya hai, kaha se download kare? kaise ise use kare, aur ye kaise kaam karta hai ? In  sabhi information Ke bare me hum aspko  is post me details se batayenge.


What Is BHIM Application?


BHIM Application ko full form - Bharat Interface For Money hai. Ye app UPI based payment system par work karta hai, aur is Application ko use karke  easily kahi se bhi kahi bhi easily cashless payment kits ja sakta hai. Is App ki khaas baat ye hai ki Yadi aapke pass net pack nahi ho to bhi yah Application cashless without internet bhi kaam karega .  Is app me users ka bank account number aur IFSC code jaisi information ki jarurat nahi padegi.Aap sirf mobile no. ya phir QR Code ko use karke hi payment kar sakte hai.
BHIM app ko use karne ke liye apko ek Android phone or iPhone ki jarurat padegi. Ye app Google play store par available hai or jaldi hi ye apple store par available ho jayega, To chaliye ab  jante hai ki isako kaise Download kare aur kaise use kare?

Ralated Article: What is Unified Payment Interface (UPI)

Who Developed BHIM Application?


Ab agla prashna uthta hai ki UPI ko kisne develope kiya ? UPI ko NPCI ne develop kiya hai. NPCI ki full form hai National Payment Corporation Of India. NPCI ek authority hai Jo India me sabhi ATM aur sabhi Bank Interface transaction ko manage karta hai. Is authority ko RBI ki taraf se bhi support prapt hai.Aur dono ne milkar is suvidha ko public ke liye launch kiya hai. Taki sabhi Bharatwashi net banking ka fayda le sake aur instant aur digital payment kar sake.


How To Use BHIM Application ?


BHIM application easily play store par available hai jise aap easily apne Android phone Download aur Install karke sakte hai.Aur is application ko following steps follow karke use Kar sakte hai.

👉 App Install karne ke baad Open kare.
👉 Ab aap Language select karke nextpe click kare. 
👉 Ab apke samne kuch basic instruction show honge jise read karke next par click kare.
👉 Ab apko Mobile Number Verification ke liye kaha jayega, yaha par aap apne Bank me registered Mobile number kohi verify karne ke liye select kare. 
👉 Ab apke Mobile par ek SMS ayega aur ye app apka Mobile register kar lega.
👉 Ab aap apna UPI Pin set karne ke liye UPI Pin option ko select kare.
👉 Ab apko yaha par apne ATM/Debit card ke last ke 6 digit enter karne hoge apne card ke expiry date ke sath.
👉 Ab apke mobile par OTP receive hoga. Jise aap App me enter karke apna new UPI Pin create karle. aur apka BHIM app transaction ke liye activate ho jayega.


What can we do using BHIM Application ?

Balance Check:- Aap apne bank account ka balance check kar sakte hai.

Custom Payment Address:- Aap apne Mobile number ke sath custom payment address ko bhi add kar sakte hai.

QR Code:- QR code scan karke bhi aap kisiko payment send kar sakte hai. Isake liye apko sifr merchant ka QR code scan karna padega.

Transaction Limit:- Is app se aap 24 hours me minimum 10000 Rs. and maximum 20000 Rs. transfer kar sakte hai.


Advantages Of BHIM Application :-


*  Jaisa ki yah NPCI dwara develope  kiya gaya hai aur RBI ka support prapt hai to yah Puri tarah secure aur safe hai.

* Iska use kahi bhi kisi bhi samay asani se kiya ja sakta hai .Aur kahi bhi baithe baithe bank account ki Puri detail phone par hi prapt ki ja sakti hai.

* Yadi aapko apne kisi friend se apne bank account me paise transfer karwane ho to use bank ki details bayaye bina sirf apne mobile no. Ya phir aadhar no. Se hi transfer karwa sakte hai.

* BHIM Application se payment karne ke liye baki wallets apps ki tarah aap ammount apne app me collect karne ya phir simply kisi payment ke liye koi ammount apne pocket me rakhne ki jarurat nahi hai aap directly apne bank account se payment kar sakte hai.

* Yah instant payment service provide karta hai.