Dolby Atmos:-
Aapne Cinema hall me ya apne kisi friend ke phone me Dolby atmos Sound system Dekhe honge, Aur Usse audio Aapne sune honge. Dolby Sound System ke bare me Janna bhi chhahe honge . Toh is liye aaj ham aapko Dolby atmos ke bare me Puri jankari detail me denge :-Dolby Atmos ke bare me Janna se phle aapko kuch sound System ke bare me Janna hoga :-
Mono Audio
Mono Audio sound wale mic se jab bhi ham kauchh record karte hai . Aur Use apne speaker se connect karke audio jab sunte hai tab hamne koi bhi , kitne bhi speakers kyo Na use kiye ho sabhi speaker se ek hi jaisi audio sunai deti hai.Kyuki audio sirf ek hi tarah ke encoding dwara encode ki gaya hai.
Stereo
Stereo me basically two types ke speaker use kiye jaate hai left and right side speaker aur jab ham isse kuch record karte hai tab recording ke samay koi noise agar right side me create huA hai to aapko audio sunte samay bhi wah noise right side me hi sunai dega. Aur left side me noise create hoga to aapko left me hi sunai dega.
Ye the two main type ke sounds encoder ab Ham Dolby Atmos Ke bare me jaante hai :-
Dolby Atmos
Dolby Atmos basically Sound Encoder hai .Dolby Atmos kisi audio ko 3d Surrounding ke According encode karta hai.
Dolby Atmos me 128 Instruments,chanels use liye jate hai aur jinse audio encoding ki jati hai isiliye jab ham Dolby Atmos se koi audio sunte hai tab hame aisa lagta hai ki ham audio ke Surrounding me hi baithe hai aur jis particular point me noise create huA hai hame audio sunte samay usi particular point me noise sunai dega.
For example jaise ki aap koi movie dekh rahe hai movie me train right se left ki Taraf move kar rahi hai to aapko bhi train right se left ki taraf move hoti clearly sunai deti hai aur aapko pata chhalta hai ki train right se left me move kar rahi hai.
Set Up Of Dolby Atmos :-
Dolby Atmos me speaker chhat par lage hote hai , speaker erecle create karte aur ye ek dusre se relative hote taki ye pata lag sake ki kon si sound kab kon se speaker me play karni hai.
Can We Use Dolby Atmos At Home :-
Dolby Atmos Ko ham ghar par bhi Use kar sakte hai but Dolby Atmos ko ghar par use Karne ke liye hame aise speaker ki Januart hogi jo ki chhat par lage ho ya phir agar niche rakhne wale speaker bhi Use kare to wah speaker aise hone chahiye Jo easily hamare chhat se audio signal ko bounce kar sake.Aur Hame Dolby receiver ki Januart hogi Jo easily Sound ko Dolby me decode kar sake.
Dolby Atmos On Phone :-
Dolby Atmos basically lenovo ke phones me use hote Dolby Atmos Ko phone me use Karne ke liye alag se hardware Decoder Use kya jata hai Jo aapke dwara phone play ki Jane wali audio ko 3d me decode Karne ka kam karta hai.
Add your comment Hide comment