Jaisa ki hamne pichhle post me kernel ke baare me jaane the . Aur hamne bataya tha ki Android device Me kernel ko change karne ke liye Bootloader ka Unlock Hona bahut jaruri hai . To aapke mind mai sawal hoga ki yah Bootloader hota kya hai aur ise Unlock kaise karte hai ? To aaj ham Bootloader ke baare me detail me janenge:-
What Is Bootloader ?
Basically Bootloader ek tarah ka code hota hai.Jab ham apne Android Phone ko switch on karte hai tab firstly Bohot run karta hai. Bootloader android operating system ko load karta hai.Bootloader me ek package hota hai hai jo operating system ke kernel ko boot karne ke liye instruction deta hai. Android device me applications wa software ke data ko store karne ke liye several partitions hote hai. Jaise ki system files ke liye aur android apps ke data ko store karne ke liye different partitions hote hai . In sab partition ke liye Bootloader ek security check point hota hai.Jo device start hone se pehle android operating system ki sabhi files ko check karta hai, agar koi file missing hoti hai to wo operating system ko run nahi karne dega. Sabhi smartphone me alag alag bootloader hote hai jo smartphone ke company ke operator dwara phone ke requirement ke according design kiya hota hai.
Why Bootloader Locked By Manufacturers?
Android devices me Bootloader generally locked hota hai.kyu ki Android OS ek open source OS hai .Isliye device manufacturers chahte hai ki aap device ke liye specially designed Android OS version ka hi upyog kare. Locked Bootloader ke sath aap custom ROM ko flash ya install karna impossible hai.Agar aap Bootloader unlock kiye bina forcefully Custom Rom Flash karenge to aapka Android phone brick ho jayega. Aise me agar apko Custom ROM flash karni hai to apko Bootloader ko Unlock karna padega.
Read Also: What is Rooting ? How to root any Android Device ? What is Kernel in Devices ? How it Works ?How To Unlock Bootloader ?
Kyoki diferent manufacturer dwara Different type se Bootloader designe kiya gaya hot a isiliye different devices ke Bootloader ko unlock karne ke liye different process use kiye jate hai.Kuchh phone me Bootloader ko asani se unlock kiya ja sakta hai aur kuchh phones me Bootloader ko unlock karne ke liye manufacturer Dwara unlock code ki jarurat hoti hai.Agar aapko apne phone ka Bootloader unlock karna hai to pahle aapko apne Bootloader designing process ke baare me detail pata karna hoga. Aap easily apne device ke Bootloader ko Unlock kar payenge . Aur yadi aap Xiomi company kar to ya cyanogen mod wala phone use kar rahe to aap Easily mi account banakar aur doston unlocking flash computer me download karne ke baad apne hone USB Dwara connect kar Bootloader ko Unlock kar sakte hai.
Add your comment Hide comment