Ham sabhi aaj ke samay me Android phones use karte hai . Android phone me kai sare feature already provided hote hai lekin fir bhi kai sare features aise hote hai jinhe ham apne device me use nahi kar pate jinhe use karne ke liye hame device ko root karne ki jarurat hoti hai . Ya phir aapne kabhi apne friend se , Internet ya kisi aur source se rooting ke bare sune ya phir padhe honge aur aapne Rooting ke bare me janna chahe honge. To aiye aaj ham yah Janenge ki root kya hai ? Kisi Android device ko easily root kaise karte aur iske advantages Aur Disadvantages kya hai ?
What Is Rooting ?
Waise aap jante hi honge Root ki meaning hoti hai jad aise hi Android device ko root karne ka matlab hai us device ke jad tak pahuchna . Jab aap kisi Android device ko root karte hai to aap completely us Android Device ke jad tak pahunch jate hai aur complete taur par uske operating system ke malik ban jate aapko us phone me kon se aplication rakhne hai ,kon sa operating system use karna hai, kon sa version aap use karna chahte hai ya nahi karna chahte hai. Sab puri tarah aapke control me hota hai.
How To Easily Root Any Android Device?
Yadi Aap bhi apne Android Device ko root karna chahte hai to waise to rooting ke bahut se process wa bahut se application playstore par available hai. Lekin aaj ham aapko ek easy and safe process batayenge . Play store par ek king root application available hai jise aap easily playstore se download and install kar sakte ise apne Device me install karne ke baad aap open kare open karne ke bad aapko ek big size ka circle shape ka key dikhega jise aap click kar de aur aapka Rooting process start ho jayega ho sakta aapka device restart bhi ho lekin aapko ghabrane ki jarurat nahi hai.Aap bina disturbance complete Rooting hone .Aur complete rooting process ke dauran aap koi aur work na kare aur rooting process complete hone de.Rooting process start karne se pahle dhyan rakhe aapka battery level 80 % ho.Jab aapka phone root ho jaye tab aplication me likha aayega your phone is successfully rooted.
Read Also: What Is Kernel In Devices? How It Works ?Advantages Of Rooting Android Device:-
* Aap apne Device ke operating system ke completely owner ban jate aap apni ichha anushar phone me koi operating system run kara sakte hai. Koi bhi application install ya uninstall kar sakte bhale wo system ke application ho ya phir other applications.
* Playstore par kai aise application available hai jinhe use karne ke liye rooted phone ki jarurat hoti hai . Aur ho sakta hai wah application aapke liye jaruri ho unhe aap Rooting ke baad use kar payenge.
* Kai phone ki internal memory kam hoti hai aur jin phone me installed application ko SD Card me move karne ka feature available hota hai unme application ko SD Card me Move karne ke baad bhi application Ka sara data SD Card me Move nahi hota kuchh data hi move hota hai aur baaki data system memory me rahta hai . Aap device ko root karke memory card ko internal memory ke roop me use kar sakte aur sara data memory card me Move kar system memory ko save kar sakte hai.
* Aap Apne Android Device ko root karne je baad apne Device operator dwara provided custom ROM ko flash kar sakte hai aur dusra costom rom install kar sakte hai . Yadi aapko Costom ROM ko sahi use karna aata ho to aap new Costom ROM ko use kar apne phone ki battery life aur processor kafi had tak increase kar sakte hai.
Disadvantages Of Rooting :-
* Jab aap apne phone ko root karte hai tab sabse bada nukshan yah hota hai ki aapke phone ki Warranty khatm ho jati hai . Agar aapka phone warranty me hai to aap kabhi apne phone ko root na kare .Halanki har ek company ke phone ki Warranty khatm nahi hoti lekin kai phone ki companies apne phone ki Warranty khatm kar deti hai .Jaise Samsung , LG ,HTC etc. Companies apne Device ki Warranty khatm kar deti hai. Lekin kuchh chinese companies jaise xioami, one plus ,coolpad etc. apne phonee ki Warranty ko khatm nahi karti.
* Agar Rooting process ke dauran aap savdhani nahi bartte ya koi step miss kar dete hai to aapka phone puri tarah se damage ho jata hai aap phone ko kabhi use nahi kar payenge aap sirf phone ko dekh payenge utha payenge aap phone ko start bhi nahi kar payenge . Isiliye phone ko root kate samay savdhani barte aur battery level minimum 80 % ho tabhi phone ko root kare.
* Jab aap phone ko root kar lete hai tab aapke operator dwara jo security provide ki jati hai wah bhi affect ho jati hai aur bade hackers ya malicious softwares dwara Aapke phone ke hack ya phir affect hone ka khatra badh jata hi.
* Jab kisi software ya phir system applications dwara officially koi updated version launch kiya jata hai wah launch version rooted device ke liye jaldi available nahi hota . Aur aap application ya Android version ke official update ko apne phone me use nahi kar sakte.
Add your comment Hide comment