Hello Friends, Aapne VPN ke bare mein to jarur sune hi honge. Kyoki jab bhi ham internet use krte hai to in normal thimgs ki knowledge knowledge jarur hoti hi hai. Lekin agar aapko abhi tak VPN ke bare mein nahi jankari nahi hai to ye post sirf aap ke liye hi hai. Kyoki aaj ke post me ham VPN ke bare me hi detail me janenge ki VPN kya hota hai aur android device mein VPN kaise use karte hai? Aur VPN Use karne ke kya kya fayde ho sakte hai aur kya nuksan hai ish bare mein bhi aaj ham discussion karenge :-

What Is VPN ?

VPN ki Full Form Hai Virtual Private Network VPN ek tarah ka private Network hota hai.Jab bhi ham internet par kuchh search karte hai to pahle hamara IP (Internet Protocol ) adress server tak send kiya jata hai phir server hamare IP adress ko check karta hai phir wah hamare dwara search kiye page ko ham tak pahuchata hai aur hamare browser me waha page open ho jata hai. Lekin kai bar kuch pages aise hote hai jo ek particular region me hi work karte yadi aap us particular region me nahi hai to page aap view nahi kar sakte . Jaisa Ki page view me IP aur use kIya jata hai to aapke hack hone ka khatra hota hai .Lekin VPN ko use karne par aapke hack Hone Ka khatra nahi hota.

Why We Need To Use VPN :-

Friends , jab bhi Business Grow karta hai tab wo Multiple Locations par Apne Office , Branch banati Jati hai tab Unn Office ke Beech me securely Data Transfers karne ki jarurat Hoti hai to Is jarurath ko Pura karne ke liye kisi LAN technology ko hame use karna padta hai . Office ki different branches tak securely and privately data transfer karne wa connection karne ke liye Ek popular LAN technology hai VPN ( Virtual Private Network) jaisa ki hamne pahle hi charcha kiye VPN ko use karne par IP address use nahi kiya jata server se private and secured connection hota hai is liye data hack hone ka khatra nahi hota. Isliye business management ki datas ki privacy ke liye VPN use kiya jata hai.

Read AlsoDetail About GPS And Haw GPS Work ?

Different Types Of VPN :-

Basically VPN Ke three different Types hote hai :-

Intranet VPN :- Jab Aapke Hi Offices Aapas me Connect Hote hai Tab unn type ke VPN ko Intranet VPN kaha jata hai.

Extranet VPN :- Jab Aapka Office staff Aur Aapka Business partner Aapas me Communicate karte hai to us VPN ko Extranet VPN keha jata hai.

Access VPN :- Aapke office ke Sells User ya Aapke Manager jo hamesha travel karte rehte hai Roaming me hote hai to Unhe Remotely Data Send kiya jata hai to us VPN ko Access VPN kaha jata hai.

How Can We Use VPN In Android Devices :-

Android Device Ke Play store Me jakar aap VPN Search karte hai to kai sare VPN applications available hote unme aap apne ichhanusar koi application choose kar us VPN application ko download and install kar sakte hai .Jab application install ho jaye tab open par click kar VPN ki basic settings ko follow kar VPN ko use kar sakte hai. Play store par kai paid VPN application hote jinko use karne ke liye apko pay karna padta aur kuchh free application hote jinhe use karne ke liye koi payment nahi karni hoti jinhe aap free me use kar sakte hai.

Detail About Tunnelling :-

Tunnel hame filling provide karata hai . Tunnelling me ek Start point hota hai Aur ek End point hota hai. Kyoki ham Public Network ko use karte hai . Jab ham Internet ko use kar rahe hai to internet par tarah -tarah ke users ho sakte hai jaise ki Hacker aur Cracker jo humare Data ko Hack kar Sakte hai to kuch Popular protocol hote hai Tunnelling bana ne ke liye different servers use kiye jate hai jaise ki:

PPTP

L2TP

SSTP ( server 2010 me New feture Ad kiya gaya hai )

What Are The Requirements Of VPN :-

Internet

Public IP Address ( kyu ki jo mere Remote User hai bo Ess Public Ip ko hit karte VPN bana sakte hai)

2 Lan card

Advantages Of VPN :-

• VPN ko use karne par server provider aur aapke internet access ke beech direct secure connection hota hai jisse different type ki technical disturbance nahi hoti to isse aapki browsing speed increase ho jati hai.

• Kai bar kuch website me kai content aise hote hai particular regions me hi provide hote hai aur agar aap us region me nahi hai to aapke liye wah content available nahi hota lekin VPN ko use aap us content ko view kar sakte hai.

• Normal web browsing me IP address use kiya jata hai jiske jariye aapke hack hone ka risk hota hai lekin VPN ko use kar aap is risk se safe rahte hai.