Pichhle kuchh Dino se aapne UPI ke bare me jarur sune honge. Aur Janna bhi chahte honge ki UPI kya hota hai.Jaisa ki pichhle kuchh varsho se India ko digital banane ki koshis ki ja rahi hai.India ko digital banane ki planning chal rahi hai. Halanki kuchh Dino se jyada log internet se Jude hai Lekin bahut kam log hi aise hai Jo net banking use karte hai . Kai baar Agar log net banking karne ki soche bhi to unke pas best option available bhi nahi hota . Aise me UPI ek bahut hi achchha aur thos kadam hai jiske jariye Ham kahi bhi kahi bhi net banking ka fayda utha payenge aur digital payment bhi kar payenge . To ab Jane ki UPI kya hai :-

What is UPI?

UPI ki full form hai Unified Payment Interface. UPI ek aisa system hai jisko use karke koi bhi ammount apne mobile se pay kar sakte hai. Iske istemaal se aap ghar baithe apne bank account ki Puri detail prapt kar sakte hai.UPI ke jariye koi bhi ammount instantly transfer ho jata hai.Chahe aapko kisi grocery shop par payment karna ho ya phir kisi taxi ka bill pay karna ho aap UPI ki help se kar sakte hai.

Who Developed UPI?

Ab agla prashna uthta hai ki UPI ko kisne develope kiya ? UPI ko NPCI ne develop kiya hai. NPCI ki full form hai National Payment Corporation Of India. NPCI ek authority hai Jo India me sabhi ATM aur sabhi Bank Interface transaction ko manage karta hai. Is authority ko RBI ki taraf se bhi support prapt hai.Aur dono ne milkar is suvidha ko public ke liye launch kiya hai. Taki sabhi Bharatwashi net banking ka fayda le sake aur instant aur digital payment kar sake.

Read Also: Jio ki taraf se New Year Gift

How Does UPI Work?

Saayad aapne pichhle kuchh dino me ek service jiska naam IMPS hai ko use kiya Hoga jiski full form hai Immediate Mobile Payment Service.Jo immediately bank se koi transaction immediately karne ke liye launch ki gayi thi usi tarah UPI ko usse bade star par naye tarike se launch kiya gaya hai. Har ek bank ke liye alag UPI app Play store par available hai . Jise aapka jis bank me account hai iske according us bank ka UPI app apne mobile play store se download kar sakte hai. Aapko app download kar use open karke usme login karna hoga aur ek m - pin create karna hoga.Bas in step ko follow karne ke baad aap UPI service ka pura fayda utha payenge.

Advantages Of UPI


*  Jaisa ki yah NPCI dwara develop  kiya gaya hai aur RBI ka support prapt hai to yah Puri tarah secure aur safe hota hai.

* Iska use kahi bhi kisi bhi samay asani se kiya ja sakta hai .Aur kahi bhi baithe baithe bank account ki Puri detail phone par hi prapt ki ja sakti hai.

* Yadi aapko apne kisi friend se apne bank account me paise transfer karwane ho touse bank ki details bayaye bins sirf apne mobile no. Ya phir aadhar no. Se hi transfer karwa sakte hai.

* UPI se payment karne ke liye baki wallets apps ki tarah aap ammount apne app me collect karne ya phir simply kisi payment ke liye koi ammount apne pocket me rakhne ki jarurat nahi hai aap directly apne bank account se payment kar sakte hai.

* Yah instant payment service provide karta hai.

Limit of UPI -.    1,00,000 per transaction

Cost for transaction :-  50 p.  Per 10,000 ₹