Agar aapke bhi hone wale hai exam aur samay hai kam padhai hai jyada to aiye jane padhai karte samay follow karne yogya kuch batein.

Dimag Ko Tension Free Rakhe :-

 Exam ke samay hamare pas din bahut kam hote hai aur padhai bahut jyada hoti hai to ham aksar pareshan ho  jate hai aur tension hone lagti kintu tension lene se koi fayda nahi hai balki hame tension door karke sirf aur sirf poori concentration ke saath padhai karni chhahiye.Hame kisi aesi jagah padhai karni chahiye jaha koi disturbance na ho.

Padhte samay kis mudra  me baithe :-

Kabhi letkar ya rajai me ,kambal me baithkar padhai na kare.Isse aapka pura dhyaan padhai par nhi lagega aur aalas bhi aayega.padhai karte samay aisi mudra me baithe jisse ki aapke shareer ke kisi bhi bhaag koi bhi effect na ho aur physically relax feel kare aur padhai me man lagePadhte samay also mudra me baithe jisse ki aapke shareer ke kisi bhi bhaag koi bhi effect na ho aur physically relax feel kare aur padhai me man lage.

Schedule Bana kar  Kare Study :-

Padhai shuru karne se pahle schedule bana le.Yaad schedule aisa hona chahiye ki aapko easily follow bhi kar le aur limited time apka syllabus bhi cover ho jaye.Aur isi schedule ko follow karte hue daily padhai kare.

Manoranjan Bhav Se Kare Padhai :-

Padhai ko khud par havi na hone de . Padhai manoranjan bhav se kare jaise koi long question yad na ho rha ho to use kisi story ki tarah yad kare. Bar bar repeat karne ki wajai ap question bolkar usake audio bana le usi ko sunte rahe.

You Must Also Read :- What is satellite? How it work ? 

Group study :-

Group study mai padna ek achha confidence deta hai, group study mai pada topic aapko har waqt yaad rahta hai. Agar aapko koi topic nhi aata ho to aap apne friends se use samajh sakte hain agar aapke friends ko nhi aata ho to aap unki help karke apne knowledge ko jyada bada sakte hai. Group study mai aap Study se related baatien bhi karte hain jisase aapko kafi achha moment milta hai. dhyan rhe aap us group mai study kar rhe jha study kam idhar udhar ki bate jyada ho rhi ho. So friends apne is kimti samay ko janiye achhe se apni exam preparation kare.

Use Flow Chart :-

Aajkal Digram ya Flow chart se har koi achhe se samajhta hai, aap dekh sakte hain koi bhi insaan pda hu kam der tak yaad rakh sakta hai but dekha huaa bahut der tak. So agar aap apne pade huye ko revision ek flow chart use karke kar rhe ho to isase badiya tarika koi nhi. Aap flow chart banaye jha se aapko samajh nhi aa rha aap dekh sakte hain kha par fault hai. Ye idea aapke learning ko bda easy banata hai. Aur aapko badi aasani se apne topic ka pta lagta hai.

You Must Also Read :- Kaise kare exam ki taiyari ?

Apna Attitude Badle :-

Agar aapko kuchh pana hai to sabse pahle aap apna attitude change kare. Agar aap soch rhe honge ho jayega exam bhi kal se padenge kal fir wahi kal se padenge to na hi aap kisi din se start kar payenge na hi aap achhe se tyari kar payenge. Aapko study karne ke liye positive attitude rakhna padega apne pure mehanat se study par focus karna padega jisase aap achhe se preparation kar sakte hain.

Shareer Ko Rakhe Swasth :-

 Mind ke properly work  karne  ke liye aap healthy hona bhi jaruri hai . Jab tak aapka shareer swasth nahi tab tak aapka mind bhi properly work nahi karega . Isliye apka mentally taur per fit rahne ke sath physically thik hona jaruri hai.

Mind Ko Sharp Kare :-

Study karne ke liye mind ka sharp hona bhut hi awashyak isiliye aap mind ko sharp rakhne ka prayatn kare . Mind ko sharp karne ke liye aap ase khel khele jisme apka mind use hohota rahe jaise shatranj .aap adhik adhik mind use karne ki koshish kare.

Apni Antrabhawna ko Strong Kare :-

Padhai start karne se pahle apne man me positive thinking rakhiye aur strong feeling banaye ki ye question pura yaad karna hi hai .Aur kabhi bhi kisi bhi question ko adhura na chhode.

Pichhle Saal ke Question Papers Ki Help le :-

Pichhle 3-5 saal pahle ke question papers ka intejaam kare aur aur in question papers ke saare questions solve kare aur revise bhi kare.In question papers ke sare questions yaad bhi kare.Jo question kai baar alag alag question papers me repeat ho rakhe ho unhe jarur achhe se yaad kare.