Jaise ki aapne satellite ke bare me sune hi hoge aur kuchh had tak uske baare me jante bhi honge. Kai baar aapne satellites ke baare me Janne ki koshis bhi kiye honge Lekin kisi karanvas aapka dhyan bhatak gaya hoga. Kyuki satelites hamse bahut door aur Jo cheeje hamse door hoti hai aur Ham un tak pahuch nahi sakte un cheejo ki taraf jyada dhyan nahi dete. Lekin kya aap jante hai ki Ham daily life me kai aise kam karte jo Jo kahi Na kahi satellite par hi dependent hote hai Jaise aap television par weather forecast Dekh rahe ho ,mobile me map par kisi jagah ka web vision use kar rahe ho ya phone se kisi aur country me baat kar rahe ho.To aaiye aaj Ham isi bare me Janenge ki satelites kya hoti hai ? Yah kitni type ki hoti hai ? Yah kaam kaise karti hai ?

What is satellite ?

Satelites basically ek chhota sa object hai jo free space me kisi fix distance par kisi orbit me apne se bahut bade object ke chaaro taraf chakkar kaatti hai. Satellites size me bahut chhoti bhi ho Sakti hai aur bahut badi bhi jo basically unke iss baat par dependent hai ki wah kis purpose se launch ki gayi hai.Satellites ka size,height Aur distance mool roop se uske purpose par dependent hai. Aur satellites mainly do type ki hoti hai :-

1.) Natural satellite (Prakritik upgrah):- Wah satellite jo naturally hame prapt hai jisko kisi insaan ne develope nahi kiya.Jaise ki moon . Moon hamare earth ke chaaro taraf ek fix distance par ek fix orbit me chakkar lagata hai.

2.) Man made satellites ( Krutrim upgrah ) :-
 Wah upgrah jo aadhunik roop se scientists ne hamare basic purposes ke liye banaya aur launch kiya . Jaise ki INSAT - B

You Must Also Read :- Kaise kare exam ki taiyari ? Exam ke time kaise kare study ?

Principal of satellite :-

Satellites based on John Kepler's laws of planetary motion.

Construction of satelites :-

Satellites me sabse upar bahut bhaag par kuchh panels hote hai honge solar panel s kahte jo surya ke heat se energy prapt karte taki satellites properly work kar sake.Uske baad aati hai main body jaha circuit arrangements hote hai.Jisme transponders hote hai jisme transmitters aur receivers hote hai jo signals transmit aur receive karne ka kaam karte hai. Aur control motors maujud hote jiske madad se scientist satellite ko remotely control kar pate hai . Jaise ki satellite ki height adjust karni ho ya phir angel change karna ho . Baki construction unke purpose par dependent hote hai Jaise ki agar satellite imaging , sensing ya scanning ke liye use kiya gaya ho to usme camera , scanner ya phir sensor ka use kiya jata hai.

Uses of Satellites :-


 1.) Communication :- Mainly Ham Satellite ka use communication ke liye karte . Iske liye Satellites me transmitters aur receivers use kiye jate jisme receivers  signals ko recieve karte hai aur transmitters receivers se signals lekar transmitt karte hai.   

2.) Scanning :- Ham Satellite ka use scanning ke liye karte hai . Iske liye satellite me scanner ka use kiya jata hai .

3.) Imaging :- Ham satellite ka use imaging ke liye bhi karte hai . Iske liye  Satellites me camera ka use kiya jata hai.

4.) Navigation :- Ham Satellite ka use navigation ke liye bhi karte hai. Iske liye Satellites me navigator ka use kiya jata hai.

Three different Types of Satellites :-

Speed aur distance ke anushaar satellite s ko teen Types me divide kiya gaya :-

1.) Low earth orbit satellite :- Ye satellites earth se lagbhag 2,000 km ke distance par hote hai aur bahut teji se earth ke chaaro taraf   chakkar lagate hai aur lagbhag 88 minutes me earth ka ek chakkar pura laga lete hai. Isliye inhe sensing, imaging aur scanning ke liye use kiya jata hai.

2.) Medium earth orbit satellite :- Ye satellites earth se lagbhag 22,200 km ke distance par hoti hai. Ye na to jyada fast chakkar lagate hai na hi jyada slow . Ye lagbhag 12 ghante me earth ek pura chakkar laga leti hai . Inka use navigation ke liye kiya jata hai.

3.)  High earth orbit satellite :- Ye satellites earth se lagbhag 36,000 km ke distance par hoti hai . Inhe geo stationary satellite bhi kahte hai. Ye earth ke brabar speed se hi chakkar lagate hai. In satellite ko communication ke liye use karte hai.