Ham Sabhi ko jab bhi apne smartphones se bina disturbance ke songs sunne ya phir movie dekhni hoti hai to hame Earphones or Headphones ki jarurat hoti hai . Lekin jab ham Earphones or Headphones kharidane ki sochte hai to hame kai sare alag alag tarah ke Earphones and Headphones available hote ham unke Specifications ko kaise comparison kare is bare me nahi jante. Hamne Earphone ya headphone ko use kiye nahi hote isiliye hame uski quality ke bare me nahi gyat hota hai aur hame only Specifications ko dekhkar Earphone ya headphone kharidna hota hai to ham soch me pad jate hai . So friends isi mudde ko dhyan me rakhte hue aaj ham detail me janenge ki only Specifications ke basis par earphones aur headphones ko compare kar best Earphone ya headphone kaise kharide:-

Different Types Of Headphones

Basically Headphones two types ke hote hai:-

Open Back Headphones

Is type ke headphones me kaan ke paas ka part open hota hai hai aur isme aapko music sunne ke dauran bahri atmosphere ke sounds bhi aapko lagbhag sunai dete hai.

Close Back Headphones

Is type ke headphones me bahari part puri tarah close hota aur apko bahari atmosphere ki sounds sunai nahi deti aur aapko only aapke music ki awaz sunai deti hai.

Different Types Of Earphones

Ye thi baatein Headphones ke types ki ab earphones ke types ki baat kare to Earphones me only ek type ke Earphones hote hai :-

In Ear Earphones

Jaisa ki sabhi earhones ek type ke hote jise easily ears me lagakar songs sunne hote hai . Lekin unme use hone wale rubber ke sizes different hote hai.

Specifications Of Earphones Or Headphones

Aiye ab baat kare Earphones Or Headphones ke Specifications ki . Specifications me aapko following points dekhne ke liye milte hai :- 

Frequency Range

Har ek Earphones and Headphones me ek particular Frequency Range set kiya jata hai . Aap sabhi jante hi honge ki ek human ko sound sunne ki Frequency Range 20 Hz - 20 KHz tak ki hoti hai. Har ek Earphones And Headphones me particular starring Frequency Range aur particular ending Frequency Range hoti hai.

Earphones And Headphones me starting Frequency Range 12 Hz -22 Hz hoti hai .Aur ending range 18 KHz -22 KHz hoti hai. Yadi aapko base jyada chahiye ho to aapko low Starting Frequency range wale Earphones And Headphones kharidane honge kyuki Starting Frequency Range jitna kam hoga base utna jyada hoga aur starting range jitna jyada hoga base utna kam.Yadi aapko troumble jyada chahiye ho to aap high ending Frequency range wala earphone ya headphone choose kare . 

Frequency Response

Frequency Range ke sath sath hame Frequency Response bhi dekhne ke liye available hota hai . Frequency Response se matlab ki kis sound range ne loudness kitni gain karegi Earphones And Headphones ke Specifications me Frequency Response Variation available hota hai aur Frequency Response Variation jitna kam ho utna badhiya hota hai. 

Driver Size

Different Earphones And Headphones me different size ke Drivers use kiye jate hai aur in drivers ke size jitne bade hote hai utni output provide hoti hai.Headphones me driver ke size 40 mm se bhi bade hote hai . Normal Earphones me driver ke size 8 - 12 mm hote hai aur high quality ke Earphones me multiple drivers use kiye jate hai.

Impedance

Impedance basically resistance hota hai jo Earphones And Headphones me flow karne wali current ko resist karti hai yadi Earphone ya headphone me impedance high hoga to so to aapko Earphone me se hizzing sounds sunai dengi . 

Noise Cancellation

Earphones me noise cancellation use kiya jata hai taki bahari noise ko cancel kar sirf music ki sound ko sunai de aur aap bina noise perfect music ka anad le sake so noise cancellation jitna jyada hoga music ki sound utni clear sunai degi.