Linux ek tarah ka Operating system hai jiske bare me Janne se pahle aapko Operating system ke bare me Janna bahut jaruri hai. To aiye pahle Operating system ke bare me Jane.

Aajkal lagbhag har kisi ke pas smartphone hai.Har ek insan laptop, computer ke bare me Jante hai.Aur use bhi karte hai.Ham jab laptop,computer aur phone ko on karte hai to hame hamare device me kai sare functions available hote hai.Ab agar Ham ye soche ki Harare phone me ye sare functions kaam kaise karte hai ? Iska jawab hai operating system. Ab aiye najar dalte hai ye operating system kya hota hai :-

Operating system ek software base system hai Jo hamare mobile,laptop aur computer device ko operate karne ka kam karta hai. Operating system ko short me OS bhi kahte hai.Operating system hamare device ke har ek application aur functions par apna niyantran rakhta hai aur sabhi application sahi tarah work kare iska bhi dhyan rakhta hai.Jaise agar aapko koi game khel rahe hai .Game me bahut sari views aur things hote hai. Aur unki positions hoti hai ab OS control karta hai ki ye chij yaha itni door is position me hi honi chahiye.Ye thi OS ki bate ab Linux ke bare me Jane ki Linux kya hai ?

Aap windows ke bare me to jante hi honge aur use bhi karte honge. Kuchh developers ne paya ki windows se Ham Puri tarah se wah kam nahi kar pate Jo Ham karna chahte kahi Na kahi Windows hame bandhe rakhta hai aise me unhone develop kiya ek naya Operating system jise Linux ke Nam se Jana jata hai. Aur Linux ko Windows ka develop roop bhi kah sakte hai. Jo swatantra roop se develop kiya gaya . Aajkal anake Linux ko vibhinn naam se Jana jata hai.


Read Also: Learn These Tricks And Use Whatsapp Like A pro

What Is Satellite? Principal, Working And Types Of Satellite.

Iske development me world ke kai bhaag ne apna yogdan diye hai. Linux me Internet se Judi sabhi facilities available hai . Linux ke Software aasani se internet par mil jante hai.Jaise Word Processor, Spreadsheet, Presentation, Desktop Publishing, Image Processing Drawing etc.In software s ko aap internet se Download bhi kar sakte hai.

Features of Linux. :-

* Yah ek Multiuser Operating System hai. isme ek hi samay ek se jyada users work kar sakte aur apna alag alag function use kar sakte hai.

* Linux Files ko Security bhi pradan karta hai. Yah sabhi Users ko ek alag File Set aur Directory se connect karta hai. Is tarah koi user sirf apni Directory me Avalible Information ko padh sakta,delete kar sakta aur modify kar sakta hai.Jiske wajah se dusre user ki Files safe rahti hai

* Linux me Multi-Programming facility time sharing se provide kiya gaya hai.

* Linux Operating System main part Kernel hota hai Jo application CrashProof hai. Application crash ho Jane ke baad bhi Kernel work karta rahta hai.Jiski wajah se Linux Operating System ko dobara chaloo nahi karna padta.

* Linux Operating System poori tarah Virus se secure hai .Kyoki normal Users iske Kernel tak nahi pahuch pate hai.

* Linux Operating System bhi Winodws ki tarah Grphical User Interface (GUI) work karta hai. Iske Windows ko X-Windows kahi jata hai.Windows ki tarah hi isme bhi Desktop, Icon, Menu, Frame etc. Facilities available hai. Isme jarurat padte par (DOS) ki tarah Command Line Interface (CLI) me bhi work kar sakte hai.

* Linux me Apache naam ka ek Web Server Program bhi available hai jisme Web pages taiyar kiye jate hai Jo aaj sarvadhik lokpriye Web Server hai.

* Linux me aur bhi bahut saare jaruri software bhi Available hai Jaise Text Editor, Web Browser, Science software etc.